Friday, August 8, 2014

Egyption Love PART 2 (IN HINDI)

    Egyption Love part 2

  1. Tiban aur ennis bohot khus rehte hai per ek din ennish ke pehale pati faro riyaban ne Egypt me apni patni ko wapas pane ke liye hamla ker deta hai, ye khaber pata chalte hi ennish rani ka dusara pati faro(King) tibaan yudh kerne ke liye jata hai, per idher rani ennish ko riyaban dekh leta hai aur mehal se le jane ki kosiss kerta hai, per tiban misre se yudh jitker apni rani ennish ko bachane aata hai, ennish ko riyaban se chudane ke liye tiban riyaban ko dhaka deta hai per galti se riyaban uper mahal se nichhe gir ker mar jata hai.
  2. Yudh khatam hone ke baad tiban aur ennish phir se saath rahane lagte hai, ek din kisi kam se tiban ko Egypt ke ek dusare saher jana parta hai, dusare saher me jate samay raste me faro tiban ko ek ladki nadi me dubate hue dekhai deti hai,
  3. Tiban use pani me se nikal leta hai per jis ladki wo panidubanese bachata hai, wo ladki ek vesikaran vali ladki thi, use ladki ne faro tiban ko vasikaran mala pehnaker apne changul me ker liya, aur use puri taraha apne vash me ker liya, faro use ladki ko leker wapas apne mahal me aa jata hai aur vasikaran ke karan use ladki pe mohit ho jane ke karan rani ennish per dhyan nahi deta, faro tiban ki rani ye sunker puri taraha tut jati hai aur khana pina chore deti hai, phir bhi tiban ennish se kuch nahi keh pata kyuki use vasikaran vali ladki ne faro ko puri taraha se sumohit kiya tha, ek din rani ennish apne faro ke intazar me dum tod ker isduniya se chali jati hai, rani ennish ke mar jati hai, rani ennis ke marne ki khaber faro tiban ko di jati hai, tab faro rani ennish ke kamre ki taraf jata hai, aur jate-jate vashikaran ka mala kamjore perker tut jata hai, aur faro tiban use vashikaran vali aurat ke changul se baher aa jata hai, aur rani ennish ke kamre me jata hai aur ennish ki lash jamin per dekhata hai aur rote hue jamin per se rani ennish ko tiban apni god me le leta hai aur,
  4. Jab use ye malum chalta hai ki wo vashikarn ke bus me tha to use ladki ko khojta hai per vasikaran vali ladki bhaag jati hai, tab faro(king) bade-bade jadugero ko bulvata hai per vo jaduger rani ennis ko jinda nahi ker pate hai, tab faro rani ennish ki lash ko suraksit ek kamre me rakhwa deta hai, aur use tabut per likhwa deta hai ki rani ennis abhi so rahi hai, use kabhi peresaan na kiya jaye, kyuki yadi jo bhi rani ennis ki kaber kholega use faro tiban ki mari lash tabot se jinda hoker tadpatadpaker mar dalega aur puri duniya per keher barsayega aur isduniya ko nash ker dega.
  5. Do din tak faro tiban rani ennish ke tabut me se vapas jinda hone ka intezar kerta hai per rani ennish jinda nahi hoti, tab do din baad saam ko faro tiban bhi rani ennis ke kabre ke uper mar jata hai, aur faro tiban ko rani ennish ke taboot ke bagal me hi ek taboot me rakh diya jata hai.aur log waha se chale jate hai.                                                                               

                                                                        Author Of This Story

                                                                     life singh                                                                    lifenewstories7@gmail.com

           कृप्या ध्यान दीजिये --  ये स्टोरी सिर्फ ऑनलाइन रीडिंग के लिए फ्री है , ऊपर दिये गये इस स्टोरी  Love of Vampire पर मेरा कॉपीराइट हैं , आप बिना मेरी इज़ाज़त के इसे किसी तरहा से भी पब्लिश नहीं कर सकते है, पर आप इसे facebook , google, gmail, twitter, etc. में फ्री में share कर सकते है | इस कहानी के सभी चरित्र काल्पनिक हैं |

                                                                              Date : 8 Aug 2014